ḳhudī vo bahr hai jis kā koī kināra nahīñ
ḳhudī vo bahr hai jis kā koī kināra nahīñ tū aabjū ise samjhā agar to chāra nahīñ tilism-e-gumbad-e-gardūñ ko toḌ sakte haiñ zujāj kī ye imārat hai sañg-e-ḳhāra nahīñ ḳhudī meñ Dūbte haiñ phir ubhar bhī aate haiñ magar ye hausla-e-mard-e-hech-kāra nahīñ tire maqām ko anjum-shanās kyā jaane ki ḳhāk-e-zinda hai tū tāba-e-sitāra nahīñ yahīñ bahisht bhī hai huur o jibra.īl bhī hai tirī nigah meñ abhī shoḳhi-e-nazāra nahīñ mire junūñ ne zamāne ko ḳhuub pahchānā vo pairahan mujhe baḳhshā ki paara paara nahīñ ġhazab hai ain-e-karam meñ baḳhīl hai fitrat ki lāl-e-nāb meñ ātish to hai sharāra nahīñSee More
from Latest Activity on Virtual University of Pakistan https://ift.tt/3jnyOK7
0 comments:
Post a Comment