Asrukh posted a discussion

Asrukh posted a discussion

Bhale Dino Ki Baat Hai...

Bhale Dino Ki Baat Hai, Bhali Si Ek Shakal ThiNa Yeh Husn-E-Taam Ho, Na Dekhne Main Aam HoNa Yeh Ke Woh Chale To Kehkashan Si Guzar LageMagar Woh Saath Ho To Phir Bhala Bhala Safar LageKoi Bhi Rut Ho Us Ki Chhab, Fiza Ka Rang-O-Roop ThiWoh Garmiyon Ki Chhaon Thi, Woh Sardiyon Ki Dhoop ThiNa Muddaton Juda Rahe, Na Saath Subh-O-ShaamNa Rishta-E-Wafa Pe Zid, Na Yeh Ke Izn-E-Aam HoNa Aisi Khush Libasiyan, Na Sadgi Gila KareNa Itni Be Takallufi, Ki Aaina Haya KareNa Ikhtilaat Main Woh Ram, Ki Bad Maza Ho KhwahisheinNa Is Qadar Supurdgi, Ki Zach Karein NawazishenNA Aashiqui Junoon Ki, Ki Zindagi Azaab HoNa Is Qadar Kathor Pan, Ki Dosti Kharab Ho Kabhi To Baat Bhi Khafi, Kabhi Sukoot Bhi SukhanKabhi To Kasht-E-Zafraan, Kabhi To Udasiyon Ka BanSuna Hai Ek Umar Hai, Muamilaat-E-Dil Ki BhiVisaal-E-Jaanfiza To Kya, Firaaq-E-Jaangusal Ki BhiSo Ek Roz Kya Hua, Wafa Pe Behes Chidh GayiMain Ishq Ko Amar Kahoon, Woh Meri Zid Se Chid GayiMain Ishq Ka Aseer Tha, Woh Ishq Ko Qafas KaheKe Umar Bhar Ka Saath Ho, Woh Bad-Taraz-Hawas KaheShajar Hijr Nahi Ki Hum, Hamesha Pa Ba Gul RaheNa Door Hain Ke Rasiyan, Gale Main Mustaqil RaheinMuhabbaton Ki Vusatain, Hamare Dast-O-Pa Main HainBas Ek Dar Se Nisbatein, Sagaan-E-Bawafa Main HaiMain Koi Painting Nahi, Ki Ek Frame Main RahoonWahi Jo Mann Ka Meet Ho, Ussi Ke Prem Main RahoonTumhari Soch Jo Bhi Ho, Main Is Mizaaj Ki NahiMujhe Wafa Se Bair Hai, Yeh Baat Aaj Ki NahiNA Uska Mujh Pe Maan Tha, Na Mujhko Us Pe Zaam HiJo Ahad Hi Koi Na Huyi, Toh Kya Gham-E-ShikastgiSo Apna Apna Rasta, Hansi Khushi Badal DiyaWoh Apni Raah Chal Padi, Main Apni Raah Chal DiyaBhali Si Ek Shakal Thi, Bhali Si Uski DostiAb Us Ki Yaad Raat Din, Nahi, Magar "Kabhi-KabhiSee More


from Latest Activity on Virtual University of Pakistan https://ift.tt/3gvL365

0 comments:

Post a Comment